Maqsood Anwar Maqsood

wadi-e-qalb ke haalat tumhein kya malum

Maqsood Anwar Maqsood

Jamshedpur, Jharkhand, India

1970
vādī-e-qalb ke hālāt tumheñ kyā ma.alūm
kiyā sitam dhāte haiñ jazbāt tumheñ kyā ma.alūm
tum ne har vaqt hī ḳhushiyoñ ke ujāle dekhe
ġham kī hotī hai siyah raat tumheñ kyā ma.alūm
mere ash.ār uThāte haiñ savālāt magar
ḳhaak tum doge javābāt tumheñ kyā ma.alūm
tum hameñ bhuul ga.e aish-o-tarab meñ lekin
ham ne bhūlī na koī baat tumheñ kyā ma.alūm
tum ne dī hai vo mohabbat meñ daġhā kyā jaano
pyaar ko kaise milī maat tumheñ kyā ma.alūm
ḳhushk hoñToñ ne jab allāh-nigahbān kahā
kaise āñkhoñ ne kī barsāt tumheñ kyā ma.alūm
tum to shādāñ the ki bas haar gayā hai 'maqsūd'
kis kī dar-asl huī maat tumheñ kyā ma.alūm
Top Urdushayar.com