guloñ kī samt bhañvaroñ se ziyāda kaun dekhegā
ruḳh-e-gulnār par ulfat kā ġhāza kaun dekhegā
nazar ke sāmne jo hai use sab dekh lete haiñ
kisī ke dil ke hujre kā tamāsha kaun dekhegā
tumhāre bin udāsī din pe aksar chhā.ī rahtī hai
shab-e-furqat falak par chāñd taarā kaun dekhegā
mohabbat kā taqāza bas mohabbat hī mohabbat hai
mohabbat meñ zamāne kā taqāza kaun dekhegā
agar pesh-e-nazar terī nazar terā sarāpā ho
kise kahte haiñ qārūnī ḳhazāna kaun dekhegā
paḌhūñ tum ko mohabbat goshe goshe meñ nazar aa.e
lifāfa khol kar ye ḳhatt-e-sāda kaun dekhegā
jise dekho vahī kahtā hai tum 'maqsūd' ho mere
kisī se kar liyā hai maiñ ne va.ada kaun dekhe dekhegā