shā.iba hijrat kā ab mere irāde meñ nahīñ
dūsrī ansār kī bastī bhī naqshe meñ nahīñ
ishq ko denā paḌā hai apnī sāñsoñ kā ḳhirāj
ye bhī tai hai is binā par maiñ ḳhasāre meñ nahīñ
ḳhush-gumāñ haiñ TuuTe phūTe log bhī is shahr meñ
kaun hai vo jo dabā ḳhud apne malbe meñ nahīñ
ye alamiya hai chamakte jagmagāte daur kā
raushnī hote hue bhī ham ujāle meñ nahīñ
ho nahīñ saktī anā ik ḳhāksārī se buland
boriye meñ jo masarrat hai vo sofe meñ nahīñ
chand lamhoñ meñ huā kartā hai tai lambā safar
kyā hai vo raftār jo sikkoñ ke pahiye meñ nahīñ
tū ne kyā ne.amat atā kī hai dil-e-'maqsūd' ko
mujh meñ hai jo dard vo koī farishte meñ nahīñ