Maqsood Anwar Maqsood

KHushk aankhon mein kuchh nami ke liye

Maqsood Anwar Maqsood

Jamshedpur, Jharkhand, India

1970
ḳhushk āñkhoñ meñ kuchh namī ke liye
dil pareshāñ hai ik ḳhushī ke liye
aap rūTheñ to dil ye taḌpegā
saañs TuuTe na naġhmagī ke liye
is ko jaadū nahīñ to kyā kahiye
dil machaltā hai ajnabī ke liye
jis ne thāmā hai dil se haath mirā
dil dhaḌaktā hai bas usī ke liye
ham se qaa.em hai husn kī duniyā
ishq hai husn-e-zindagī ke liye
phuul ik dar pe us ke chhoḌ aayā
maiñ ne dānista muḳhbirī ke liye
vaqt marham hai zaḳhm bhar degā
chāhiye sabr zindagī ke liye
dushmanī kab thī hāsil-e-'maqsūd'
haath baḌhte haiñ dostī ke liye
Top Urdushayar.com