ishq mehnat kā sila had se sivā māñgtā hai
dil vo mazdūr hai ujrat meñ vafā māñgtā hai
be-sabab saḌkoñ pe āvāra sā ik nañgā badan
koī dīvāna hai zaḳhmoñ kī qabā māñgtā hai
vo kasāfat hai havāoñ meñ ki dam ghuT jaa.e
phir bhī jiine kī har insān duā māñgtā hai
tere is fe.al kā mafhūm samajhnā mushkil
tū hai muḳhtār magar merī razā māñgtā hai
ham qalandar kī nazar aur kahīñ hotī hai
ham nahīñ māñgte vo shai jo gadā māñgtā hai
gher rakkhā hai use vaqt ke fir.aunoñ ne
raah paanī meñ banā de vo asā māñgtā hai
paañv baḌhte nahīñ kuchle hue rastoñ kī taraf
terā 'maqsūd' alag apnī dishā māñgtā hai