Maqsood Anwar Maqsood

haya ki ek hasin chadar agar tani nahin hoti

Maqsood Anwar Maqsood

Jamshedpur, Jharkhand, India

1970
hayā kī ik hasīñ chādar agar taanī nahīñ hotī
tumhārī sub.h raushan raat nūrānī nahīñ hotī
unheñ hargiz nahīñ miltī kabhī bhī ishq kī daulat
vo jin se zindagī meñ dost nādānī nahīñ hotī
hamārī laaj rakh lī zindagī kī bhuul ne varna
hamārī ishq kī duniyā meñ sultānī nahīñ hotī
diloñ ko toḌne vaalo baḌhā kar dūriyāñ dekho
mohabbat fāsle rakh kar bhī begānī nahīñ hotī
mohabbat kis galī meñ raqs kartī kis pe itrātī
agar lailā kisī majnūñ kī dīvānī nahīñ hotī
qadam tapte hue sahrāoñ pe rakkhā hai majnūñ ne
tabhī to ishq kī duniyā meñ vīrānī nahīñ hotī
kahāñ se akbar-e-āzam ke gulshan meñ bahār aatī
agar chunarī vo jodhā.bā.ī kī dhānī nahīñ hotī
furūī ishq ne 'maqsūd' rusvā kar diyā hotā
buzurgoñ kī nasīhat tū ne jo maanī nahīñ hotī
Top Urdushayar.com