dastaras meñ kahkashāñ jugnū diyā kuchh bhī nahīñ
shukr hai phir bhī mire maulā gila kuchh bhī nahīñ
kaun hai maqtūl qātil kaun sab ḳhāmosh haiñ
be-hisī hai varna āñkhoñ se chhupā kuchh bhī nahīñ
is dil-e-betāb ko taskīn āḳhir kaun de
is kī qismat meñ tahammul ke sivā kuchh bhī nahīñ
roz-o-shab ke an-ginat aurāq palTe haiñ magar
zindagī kī kyā haqīqat hai patā kuchh bhī nahīñ
terī qudrat meñ hai saare mas.aloñ kā hal nihāñ
tere aage mere maulā mas.ala kuchh bhī nahīñ
kyā ye kam hai ummatī huuñ maiñ tire mahbūb kā
kaise kah duuñ ai ḳhudā mujh ko milā kuchh bhī nahīñ
munsifoñ ke faisle is daur meñ haiñ be-misāl
us ko dete haiñ sazā jis kī ḳhatā kuchh bhī nahīñ
bevafā ko kyā sunātā maiñ vafā kī dāstāñ
maiñ ne us ko āḳhirī ḳhat meñ likhā kuchh bhī nahīñ
maiñ kisī ko kyuuñ sunā.ūñ apnī rūdād-e-hayāt
tū mirā 'maqsūd' tujh se to chhupā kuchh bhī nahīñ