Maqsood Anwar Maqsood

hans raha hoga shikari jal phailate hue

Maqsood Anwar Maqsood

Jamshedpur, Jharkhand, India

1970
hañs rahā hogā shikārī jaal phailāte hue
ḳhauf aatā hai mujhe ghar lauT kar jaate hue
māñgte haiñ log paanī kī duā bā-chashm-e-nam
ḳhush hai bādal har taraf tezāb barsāte hue
ḳhāmushī to mas.ale kā hal nahīñ lagtī hai aur
baat bigḌī hai hamesha baat manvāte hue
muḳhtalif hai soch us kī maiñ ne chāhā thā magar
merā bachcha ho baḌā kal mujh ko dohrāte hue
ḳhvāhishoñ ne kar diyā rusvā sar-e-bāzār yuuñ
ab zarūrat ro rahī hai haath phailāte hue
maiñ usī āvāz ke pīchhe chalā huuñ jhuum kar
aage aage chal rahā hai rāsta gaate hue
kaañp uThtā hai dil-e-'maqsūd' ġham ke naam par
maiñ to ik ik dard sah letā huuñ muskāte hue
Top Urdushayar.com