chhoḌ kar behāl mujh ko apne begāne ga.e
gardish-e-ayyām meñ sab log pahchāne ga.e
jaane kis kī bad-nazar ne hashr barpā kar diyā
mūnis-o-ġham-ḳhvār sab dushman meñ gardāne ga.e
koī bhī tadbīr apnī kaam ab aatī nahīñ
merī aql-o-faham ke mash.hūr afsāne ga.e
bhuuk aur iflās kī suulī chaḌhā kar qaum ko
rahnumā-e-vaqt ab parcham ko lahrāne ga.e
khīñch kar aksar garebāñ zarf ne rokā hameñ
jab kisī kamzor par ham zor dikhlāne ga.e
hosh vaalo ko ḳhirad-mandī ne buzdil kar diyā
aur mushkil ma.arkoñ par sirf dīvāne ga.e
kis meñ dekhūñ aks sachchā.ī kā ab maiñ kyā karūñ
aa.ine bhī jhuuT ke zumre meñ gardāne ga.e
mil gayā 'maqsūd' mujh ko ho ga.ī taaza ġhazal
fikr ke parde meñ jab alfāz lahrāne ga.e