Maqsood Anwar Maqsood

aae hain dene tasalli wo sambhal jaane ke baad

Maqsood Anwar Maqsood

Jamshedpur, Jharkhand, India

1970
aa.e haiñ dene tasallī vo sambhal jaane ke ba.ad
zindagī kī dhuup kā mausam badal jaane ke ba.ad
hai mirā bhī ik masīhā dosto tum dekhnā
aa.egā lekin vo merā dam nikal jaane ke ba.ad
umr bhar ab qabr par merī duā-ḳhvānī kareñ
chehra-e-iḳhlās par vo ḳhaak mal jaane ke ba.ad
un ke aate bazm meñ kyuuñ hosh sab ke uḌ ga.e
duur hotā hai añdherā sham.a jal jaane ke ba.ad
teġh ke dam par gumāñ thā jin ko apnī fat.h kā
mahv-e-hairat haiñ qalam kā zor chal jaane ke ba.ad
jo nadī itrā rahī hai apne dhāre par abhī
legī apnā jā.eza sāgar meñ Dhal jaane ke ba.ad
is jahāñ meñ be-ġharaz 'maqsūd' koī bhī nahīñ
sab bhulā deñge tujhe matlab nikal jaane ke ba.ad
Top Urdushayar.com