Maqsood Anwar Maqsood

gham na do itna ki meri jaan nikal jae kahin

Maqsood Anwar Maqsood

Jamshedpur, Jharkhand, India

1970
ġham na do itnā ki merī jaañ nikal jaa.e kahīñ
āñsuoñ se jism kī miTTī na gal jaa.e kahīñ
pak rahā ho jaise laavā jism kī chaTTān meñ
terā dāman merī aahoñ se na jal jaa.e kahīñ
dil meñ us kī parvarish karnā agar be-sūd hai
ashk ban kar ḳhvāb āñkhoñ se nikal jaa.e kahīñ
raat ke āsār haiñ phir ik zarā vaqfe ke ba.ad
merā sūraj bhī numū pā kar na Dhal jaa.e kahīñ
terī ye sohbat hai aisī jis pe sadiyāñ vaar duuñ
chhoḌ kar mujh ko na ye ma.asūm pal jaa.e kahīñ
vo mire ehsās meñ lipTā hai mausam kī tarah
ab mirī shāḳh-e-dil-o-jāñ meñ na phal jaa.e kahīñ
kah diyā 'maqsūd' ko apnī faqīrī hai aziiz
ho nahīñ saktā ye banda sar ke bal jaa.e kahīñ
Top Urdushayar.com