Maqsood Anwar Maqsood

buzdil ya mazlum jahan mein kahlane se kya hoga

Maqsood Anwar Maqsood

Jamshedpur, Jharkhand, India

1970
buzdil yā mazlūm jahāñ meñ kahlāne se kyā hogā
TuuTī hī shamshīr nikālo Dar jaane se kyā hogā
kab tak ye taqdīr kā ronā aao kuchh tadbīr kareñ
aañkh meñ aañsū chāk-e-garebāñ darshāne se kyā hogā
bhūke kī tum bhuuk miTāo to phir koī baat bane
shīsh-mahal ke ḳhvāb sunahre dikhlāne se kyā hogā
dhartī par sukh chain kī ḳhātir man ke mail ko saaf karo
gañgā jal meñ jism ko apne nahlāne se kyā hogā
ilm-o-hunar ko kaam meñ laao mustaqbil kī fikr karo
haal meñ maazī kī bhūloñ par pachhtāne se kyā hogā
maar ke Thokar rusvā.ī ko haq apnā le lo 'maqsūd'
bech ke ġhairat jām-e-muravvat chhalkāne se kyā hogā
Top Urdushayar.com