Ashk Almas

zist ke paikar mein jab marbut ho jata hun main

Ashk Almas

Motihari, Bihar, India

1997
ziist ke paikar meñ jab marbūt ho jaatā huuñ maiñ
ban ke dasht-e-lā-makāñ lāhūt ho jaatā huuñ maiñ
mere banñe kā tamāsha dekhiye ki kis tarah
TūTtā huuñ TuuT kar mazbūt ho jaatā huuñ maiñ
jaane kyā paḌh kar vo mujh par phūñktā hai zor se
dekhte hī dekhte yāqūt ho jaatā huuñ maiñ
āsmāñ se jab utartā huuñ maiñ ban ke devtā
phir gunāhoñ ke tale hārūt ho jaatā huuñ maiñ
laakh chāhūñ toḌ Dālūñ haath hī uThte nahīñ
kuchh butoñ ko dekh kar mab.hūt ho jaatā huuñ maiñ
marg-e-mabram saath le aatī hai jab jab zindagī
phir kafan lobān aur tābūt ho jaatā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com