falak se chāñdnī phir jhāñktī hai
zamīñ par tīrgī jab nāchtī hai
sitārā jab bhī TuuTā āsmāñ se
vahī ḳhvāhish dobārā jāgtī hai
banā letī hai zanjīroñ se paa.el
mohabbat raqs karnā jāntī hai
pata hai ki vahāñ paanī nahīñ hai
magar ummīd sahrā chhāntī hai
qazā puurī ho karnī phir kisī kī
zamīñ mehvar pe aise bhāgtī hai
meñ rāz-e-zindagī kyūñkar batā.ūñ
kahāñ ye nasl kahnā māntī hai