Qalaq Merathi

kis qadar dilruba-numa hai dil

Qalaq Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1832-1880
kis qadar dilrubā-numā hai dil
ḳhāna-e-ġhair ho gayā hai dil
har ghaḌī kyuuñ na zalzale meñ rahe
mash.had-e-hasrat-o-vafā hai dil
maut bhī sahal kuchh nahīñ apnī
kis liye tāqat-āzmā hai dil
maslahat is meñ ho na koī kaash
dushman-e-jān ho gayā hai dil
sab se lag chalne kī huī hai kho
kis qadar sarf-e-āshnā hai dil
shaiḳh-e-san.āñ kā yaad hai qissa
saḳht kāfir burī balā hai dil
apnī hālat meñ mubtalā huuñ aap
dil-rubā jaañ hai jāñ-rubā hai dil
balbe vāmāñdgī kī tez ravī
jaise jaane pe aa gayā hai dil
kis jafā-kār kī vafā hai jaañ
kis sitam-kash kā mudda.ā hai dil
terī ulfat kā naqd dāġh-e-jigar
merī hasrat kā ḳhūñ-bahā hai dil
kahiye kis se lagā liyā laggā
ai 'qalaq' kyuuñ ke lag chalā hai dil
Top Urdushayar.com