Qalaq Merathi

koi kaisa hi sabit ho tabiat aa hi jati hai

Qalaq Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1832-1880
koī kaisā hī sābit ho tabī.at aa hī jaatī hai
ḳhudā jaane ye kyā aafat hai aafat aa hī jaatī hai
vo kaise hī chaleñ tham tham qayāmat aa hī jaatī hai
bache koī kisī Dhab se pa shāmat aa hī jaatī hai
sitam kar ke sitam-gar kī nazar nīchī hī rahtī hai
burā.ī phir burā.ī hai nadāmat aa hī jaatī hai
zuleḳhā be-ḳhirad āvāra lailā bad-maza shīrīñ
sabhī majbūr haiñ dil se mohabbat aa hī jaatī hai
charāġh-o-sham.a bazm-e-yār kar kar ġhair ko phūñkā
dil-e-afsurda meñ āḳhir harārat aa hī jaatī hai
huā nazroñ hī nazroñ meñ vo mahshar barq-e-sad-ḳhirman
mohabbat kī nigāhoñ se sharārat aa hī jaatī hai
pasīna aa gayā un ko kiyā va.ada jo aane kā
burī hai naaz bardārī nazākat aa hī jaatī hai
har ik se ab vo kahte haiñ ki lo ham par ye marte haiñ
jiyeñge is tarah kab tak ki ġhairat aa hī jaatī hai
nahīñ kuchh dil kā phirnā ahd-e-dushman se tirā phirnā
magar kuchh soch kar āḳhir muravvat aa hī jaatī hai
na hotī gar naved-e-marg kyuuñ kar hijr meñ jiite
mohabbat meñ bhī āsā.ish pe niyyat aa hī jaatī hai
visāl-e-ġhair ke qisse ko sun kar kyā taḌaptā huuñ
ye armāñ koī jā saktā hai hasrat aa hī jaatī hai
agar sad-sāl kiije shukr-e-ulfat kījiye lekin
ye vo sheva hai bad-zan phir shikāyat aa hī jaatī hai
'qalaq' ḳhat ġhair kā kyuuñ kar na aatā kyuuñ na tum paḌhte
qazā likhī huī hazrat-salāmat aa hī jaatī hai
Top Urdushayar.com