na pahuñche haath jis kā zo.af se tā-zīst dāman tak
surāġh-e-ḳhūñ ab is kā mar ke jaa.e ḳhaak gardan tak
sar-o-sāmāñ se haiñ ye be-sar-o-sāmāniyāñ apnī
ki hai josh-e-junūñ merā garebāñ-gīr dāman tak
na kī ġhaflat se qadr-e-dil abas ilzām dilbar par
matā-e-ḳhufta ke jaane ke sau raste haiñ rahzan tak
ye hiila bhī nahīñ kam maut ke aane ko gar aa.e
na aa.e jo ki bālīñ par vo kyā jā.egā madfan tak
kuchh aisā iḳhtilāt aapas se uTThā is zamāne meñ
na qātil aa.e hai mujh tak na jaa.e maut dushman tak
mirī mehnat kā zaa.e.a honā hī to ik qayāmat hai
ki bād-o-barq aafat meñ raheñge mere ḳhirman tak
vafā kī nazr hai merī hī jān-e-hasrat-ālūda
asar kī qadr hai merī hī āh-e-qāfila-zan tak
ġhubār-e-dil kisī Dhab se na qātil kā huā sābit
ki saaf us kī havā kī teġh mujh se mere kushtan tak
maiñ apne hausle se aur vo apne jaame se bāhar
na ḳhanjar kā use khaTkā na yaañ sarfa hai gardan tak
nahīñ hotā rafū chāk-e-garebān-e-fanā hargiz
mañgā.īñ charḳh-e-chārum se agar iisā kī sozan tak
girāñ-jānī chaman meñ bhī nishāna ho ga.ī āḳhir
ki bār-e-dosh-e-gulban hai mirī shāḳh-e-nasheman tak
'qalaq' martā hai aur hotā hai mātam kā ye hañgāma
magar ronā hai is kā tū na aayā bazm-e-shevan tak