Qalaq Merathi

kya kahen tujhse hum wafa kya hai

Qalaq Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1832-1880
kyā kaheñ tujh se ham vafā kyā hai
soch kuchh dil meñ pūchhtā kyā hai
dil hai ye yā ki aabla kyā hai
kyuuñ hai itnā bharā huā kyā hai
kaise kaise javāñ kiye barbād
ishq kyā shai hai ye balā kyā hai
dil ko denā thā de diyā zālim
aur ham ne tirā liyā kyā hai
gar raqābat tumheñ nahīñ mujh se
phir ye ā.īna dekhnā kyā hai
pahle rakh le tū apne dil par haath
phir mire ḳhat ko paḌh likhā kyā hai
ab vo āñkheñ nahīñ haiñ pahlī sī
sach kaho tum ko ho gayā kyā hai
shauq-e-āshiq-kushī bhalā hī sahī
rahm karnā bhī par burā kyā hai
kyā kaheñ ham burā ki ḳhū hī nahīñ
par kaho tum hī ye jafā kyā hai
jab ki gardan pe ḳhuuñ rahā us kī
naam mat lo ki ḳhūñ-bahā kyā hai
merī aur aarzū ko tū pūchhe
sochtā huuñ ki mudda.ā kyā hai
jaane kyā kyā huā hai rizq-e-ḳhāk
gul-o-lāla ko dekhtā kyā hai
dil ajab chiiz hai to tum se aziiz
rahne bhī do muāmla kyā hai
aage aage haiñ pāra-hā-e-jeb
mujh ko darkār rahnumā kyā hai
kam nigāhī bhī shart-e-husn hai par
dekh tū ham meñ ab rahā kyā hai
qatl hote rahe haiñ ham se pūchh
le ke shamshīr sochtā kyā hai
pī ga.ī ḳhuuñ zamīñ hazāroñ kī
muft phir shoḳhi-e-hinā kyā hai
donoñ aalam ko kyuuñ kiyā pāmāl
naqsh-e-pā par ye naqsh-e-pā kyā hai
ai 'qalaq' kyuuñ qalandarī chhoḌī
ye abā kyā hai ye qabā kyā hai
Top Urdushayar.com