Qalaq Merathi

KHat zamin par na ai fusun-gar kaT

Qalaq Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1832-1880
ḳhat zamīñ par na ai fusūñ-gar kaaT
dard-e-sar kāTnā hai to sar kaaT
gar likhūñ us ko nāma-e-ulfat
harf-e-matlab ko de muqaddar kaaT
qatl se mere gar phire qātil
daañt se luuñ zabān-e-ḳhanjar kaaT
gar hai bedād hī pasand tujhe
gardan-e-ġhair ai sitam-gar kaaT
ġham-e-barq-o-tagarg ko na ḳharīd
kisht-e-ummīd ko sarāsar kaaT
vaqt-e-dai zer-e-ḳhār-zār guzār
mausam-e-gul tah-e-gul-e-tar kaaT
pā-e-mardī se dast-burd na chhoḌ
jeb-e-shāh-o-gadā barābar kaaT
quvvat-e-hazm hai ba-qadr-e-zarf
kyā kare mauj-e-āb-e-gauhar kaaT
sabr-o-taslīm hī ke andar rah
umr rañj-o-ḳhushī se bāhar kaaT
teġh-e-burrān-e-vaqt se har dam
rishta-e-ārzū ko yak-sar kaaT
mat banā ghar chaman ke andar kaaT
mat lagā dil gul-o-sanobar kaaT
āshiyāñ ke liye chaman kā se
murġh-e-hirs-o-havā kā har par kaaT
qadar-e-ārām kuchh to kar ma.alūm
roz dushvār raat dūbhar kaaT
shart kuchh teġh bāñdhnā hī nahīñ
ziist ko aa.e jo mayassar kaaT
ai 'qalaq' rañj ho ki ho ārām
kaaT jaise kaTe subuk-tar kaaT
Top Urdushayar.com