naqsh-bar-āb naam hai sail-e-fanā maqām
is ḳhānumāñ-ḳharāb kā kyā naam kyā maqām
har roz taaza manzil o har shab nayā maqām
mohlat nahīñ qayām kī duniyā hai kyā maqām
jā mil ga.ī jise tirī dīvār ke tale
hai us ko gor-e-tañg bhī ik dil-kushā maqām
Darte haiñ ham to naam bhī lete hue tirā
tū hī batā ki pūchhiye kyūñkar tirā maqām
insān kī sarisht meñ hai uzr-e-lañg-e-zo.af
sābit huā ki duur hai mujh se mirā maqām
andāza hī ġhalat thā magar imtiyāz kā
ya.anī mahall-e-ġhair hī thā aap kā maqām
khiltā nahīñ kabhī na kabhī saaf hī rahe
kis tarah ho subūt ki dil hai tirā maqām
vaa.iz munāza.at kā sabab mujh meñ tujh meñ kyā
masjid tirā mahal hai mirā mai-kada maqām
yaañ vaañ idhar udhar yuuñ hī gir-paḌ ke kī basar
misl-e-ġhubār-e-rāh rahā jā-ba-jā maqām
ai ahl-e-dair zikr-e-haram tum se yā kareñ
pūchho butoñ hī se kabhī ka.aba bhī thā maqām
kyā kyā bayāñ jahāñ ke kareñ amn-o-chain ko
us ke bhī dar pe apnā to muddat rahā maqām
kyā jāniye 'qalaq' ki irāda hai apnā kyā
matlab se kuchh safar na sar-e-mudda.ā maqām