Qalaq Merathi

uThne mein dard-e-muttasil hun main

Qalaq Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1832-1880
uThne meñ dard-e-muttasil huuñ maiñ
gard-bād-e-ġhubār-e-dil huuñ maiñ
ka.abe tak saath aayā shauq-e-sanam
haa.e but-ḳhāna kyā ḳhajil huuñ maiñ
haif kis mudda.ī kī jaañ hai tū
haa.e kis āshnā kā dil huuñ maiñ
tujh ko duuñ kyā javāb ai dāvar
apne hī aap munfa.il huuñ maiñ
terī nāzuk tanī pe ġhaur na kī
apnī ummīd se ḳhajil huuñ maiñ
na hilā us ke dar se tā-mahshar
marqad-e-ārzū kī sil huuñ meñ
ḳhāk-e-hastī kī gard-bād hai tū
ātish-e-dil kī āb-o-gil huuñ maiñ
had nahīñ koī apnī hālat kī
ki nigāhoñ meñ muntaqil huuñ maiñ
chhā gayā ye tasavvur us but kā
naqsh-e-chīñ aur but-chagil huuñ maiñ
zarra sī zindagī pahāḌ huī
aañkh kā apnī aap til huuñ maiñ
ai 'qalaq' kyuuñ ki chhoḌ duuñ vahshat
vaz.a meñ apnī mustaqil huuñ maiñ
Top Urdushayar.com