Qalaq Merathi

uDaun na kyun tar-tar-e-gareban

Qalaq Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1832-1880
uḌā.ūñ na kyuuñ tār-tār-e-garebāñ
ki parda-darī hai shi.ār-e-garebāñ
har ik taar hai dast-gīr-e-tamāshā
kiyā zo.af ne sharmsār-e-garebāñ
katān-o-gul-o-sīna-e-ahl-e-hasrat
bahut chiiz haiñ yādgār-e-garebāñ
agar dushmanī baḳhiya-gar ko nahīñ
to kyuuñ is qadar dost-dār-e-garebāñ
yahīñ qaid-e-rasm ḳhalā.iq pasand
har ik saañs hai ḳhār-ḳhār-e-garebāñ
vafā hai mirī pesh-dast-e-salāsil
tirā parda hai pesh-kār-e-garebāñ
ye uḌne meñ chālāk har paara hai
ram-e-dasht-e-vahshat shikār-e-garebāñ
kabhī koh meñ dasht meñ hai kabhī
nahīñ kuchh gulū par madār-e-garebāñ
'qalaq' kyuuñ ke parda na uThtā hamārā
ki hai baḳhiya-gar rāz-dār-e-garebāñ
Top Urdushayar.com