rāz-e-dil dost ko sunā baiThe
muft meñ mudda.ī banā baiThe
anjuman hai tirī tilism-e-rashk
āshnā haiñ judā judā baiThe
kasrat-e-sajda se pashemāñ haiñ
ki tirā naqsh-e-pā miTā baiThe
kal jo tāj-o-hasham ko chhoḌ uThe
aaj vo tere dar pe aa baiThe
kī hai āḳhir ko nāshtā-shiknī
daaġh par daaġh ham to khā baiThe
tarz-e-sāqī se dair ke sab log
kar rahe haiñ ḳhudā ḳhudā baiThe
shāḳh-e-gul kī nazākatoñ se Dare
baar the musht-e-par uḌā baiThe
shikva āshiq-kushī kā farz na thā
yaad ye kyā unheñ dilā baiThe
dard-e-sar thī duā mohabbat meñ
haath ham jaan se uThā baiThe
ai qayāmat tū uTh ke pūchh mizāj
haiñ vo kuchh aap hī ḳhafā baiThe
ro.e itne ki ḳhuuñ huī ummīd
ḳhud jahāz apnā ham bahā baiThe
be-takalluf maqām-e-ulfat hai
daaġh uTThe ki aabla baiThe
āsmāñ Dah paḌā uThe fitne
jis jagah le ke mudda.ā baiThe
rasm-e-tāzīm-e-ishq to dekho
dard uTThā ki jī mirā baiThe
ai 'qalaq' tum sā bad-dimāġh hai kaun
charḳh kī zid pe ghar luTā baiThe