vahī va.ada hai vahī aarzū vahī apnī umr-e-tamām hai
vahī chashm hai vahī raah hai vahī sub.h hai vahī shaam hai
vahī ḳhasta-hāl ḳharāb hai vahī ḳhvāb kushta-e-ḳhvāb hai
vahī zindagī ko javāb hai na salām hai na payām hai
vahī josh nāla-o-āh meñ vahī sho.ala jān-e-tabāh meñ
vahī barq-e-yās nigāh meñ jo ḳhayāl hai so vo ḳhaam hai
vahī ḳhvāb-o-ḳhur kī talāsh hai vahī jān-o-dil meñ ḳharāsh hai
vahī rañj-e-ġhair-e-ma.āsh hai mujhe zindagī bhī harām hai
vahī hijr dushman-e-vasl hai vahī marg-o-zīst meñ fasl hai
vahī apne shaġhl se shaġhl hai vahī apne kaam se kaam hai
vahī shaq jigar na siyo siyo vahī ziist hai na jiyo jiyo
vahī ḳhūn-e-dil na piyo piyo vahī baada hai vahī jaam hai
vahī shauq-e-rāh hai rahnumā vahī jalva-gāh hai ruḳh-kushā
vahī bazm-e-nāz hai jā-ba-jā vahī har qadam pe maqām hai
vahī nīm-jāñ dam-e-vāpsīñ vahī nāla-kash suḳhan-e-hazīñ
vahī yās-e-zīst hai dil-nashīñ ki zabāñ pe aap kā naam hai
vahī rañj hai to yuuñ hī sahī vo 'qalaq' hī thā ki yuuñ hī nibhī
mirī aap ko bhī hai bandagī mirā ishq ko bhī salām hai