Qalaq Merathi

ghair shayan-e-rasm-o-rah nahin

Qalaq Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1832-1880
ġhair shāyān-e-rasm-o-rāh nahīñ
kab vo āshiq hai jo tabāh nahīñ
ai falak daur-husn meñ us ke
tujh ko kuchh fikr-e-mehr-o-māh nahīñ
rabt-e-dushman se bhī vo bad-bar hai
ab kisī tarah se nibāh nahīñ
kam nigāhī ko un kī dekhte haiñ
un pe bhī ab hameñ nigāh nahīñ
parda kab tak rahegā ai zālim
aḳhtar-e-mudda.ī siyāh nahīñ
zulm kī qadr ke liye hai rahm
daad kuchh bahr-e-dād-ḳhvāh nahīñ
haif qazzaqī-e-zamāna haif
rasm-o-rah bahr-e-rasm-o-rāh nahīñ
hai gadā shaah balki shāhanshāh
satvat-e-qahr-e-bādshāh nahīñ
ulfat aur tum se haa.e haa.e na ho
lab-e-dushman pe aah aah nahīñ
pastī-e-tāle.a bahr-e-ḳhūbī-e-fan
kyā vo yūsuf jo ġharq-e-chāh nahīñ
arsa-e-nīstī-o-hastī se
bach ke chalne kī koī raah nahīñ
ai 'qalaq' kyā huā buḌhāpe meñ
ishq kuchh sair-e-subah-gāh nahīñ
Top Urdushayar.com