chal diye ham ai ġham-e-ālam vidā.a
shor-e-mātam tā-kujā mātam vidā.a
jaate hī tere har ik kā kuuch hai
jaañ vidā.a o dil vidā.a o dam vidā.a
roz-e-mayyat bhī nahīñ kam iid se
pahle rehlat se huā har ġham vidā.a
hai qayāmat ek din us kā qayām
dil ko kar ai turra-e-ḳhush-ḳham vidā.a
us kā rasta kū-e-ġhair aur apnā ḳhuld
vo udhar ruḳhsat idhar haiñ ham vidā.a
ġhair kī ḳhātir hai to jaane bhī do
kījiye us ko ḳhush-o-ḳhurram vidā.a
haa.e re umr-e-ravāñ kā qāfila
har qadam har aan hai har dam vidā.a
kyuuñ na hoñ āġhosh-e-hasrat sub.h-o-shām
roz-o-shab aalam se hai aalam vidā.a
hai ba-qadr-e-hausla yaañ ittifāq
jaam se hargiz na hogā jam vidā.a
sun chukā huuñ maiñ tirā azm-e-safar
aañkh se merī na hogā nam vidā.a
hasrat-e-be-iḳhtiyārī dekhnā
tan se jaañ hotī hai kyā tham tham vidā.a
ab kahāñ sabr-o-qarār-o-tāb-o-hosh
saath hī is ke hue paiham vidā.a
lā ta.ayyun be nishānī ne kiyā
kījiye ārām ruḳhsat ram vidā.a
mohlat-e-rañg-e-chaman ḳhuuñ kyuuñ na ho
ho ga.ī jab fursat-e-shabnam vidā.a
ai 'qalaq' chaliye ki manzil duur hai
ho raheñge yaar sab bāham vidā.a