Qalaq Merathi

thak thak gae hain aashiq darmanda-e-fughan ho

Qalaq Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1832-1880
thak thak ga.e haiñ āshiq darmanda-e-fuġhāñ ho
yārab kahīñ vo ġhaflat fariyād-e-be-kasāñ ho
yā qahr hai vo shoḳhī yā parda hai nazar kā
dil meñ to us kā ghar ho aur aañkh se nihāñ ho
ye shor bhar rahā hai fariyād kā jahāñ meñ
jo baat lab pe aa.ī ulTī phirī fuġhāñ ho
kis kis duā ko māñgeñ kyā kyā havas nikāleñ
ik jaañ kidhar kidhar ho ik dil kahāñ kahāñ ho
bargasht-agī-e-qismat ye chheḌ kyā nikālī
jo mudda.ā-e-dil ho vo mudda.ī-e-jāñ ho
maqdūr tak to apne tujh se nibhā.eñge ham
be-jān-o-dil haiñ hāzir gar qasd-e-imtihāñ ho
sayyād maiñ nahīñ huuñ gum-karda āshiyāñ huuñ
ai ham-safīro bolo kis jā ho aur kahāñ ho
ai aah dil se uTh kar lab par hai kyā ta.amul
jā shorish-e-zamīñ ho āshob-e-āsmāñ ho
miT miT ke bhī hamārā ik ban rahegā sāmāñ
ujḌe agar bahārāñ ābādī-e-ḳhizāñ ho
jab baiThne pe aa.e ai zo.af baiTh rahiye
phir kyā hai ye takalluf us kā hī āstāñ ho
tū hī rahegī bulbul yā maiñ hī is chaman meñ
yā terā hī ho qissa yā merī dāstāñ ho
mere suḳhan meñ kyā hai kuchh ḳhāl-o-ḳhat bayāñ hai
par dil se us ke pūchhe jo koī nukta-dāñ ho
merā salām kahnā jhuk kar 'qalaq' vahī hai
us kī galī meñ baiThā mauzūñ sā jo javāñ ho
Top Urdushayar.com