Qalaq Merathi

ai Khaar Khaar-e-hasrat kya kya figar hain hum

Qalaq Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1832-1880
ai ḳhaar ḳhār-e-hasrat kyā kyā figār haiñ ham
kyā haal hogā us kā jis dil meñ ḳhaar haiñ ham
har chand dil meñ tere zālim ġhubār haiñ ham
kitne dabe hue haiñ kyā ḳhāksār haiñ ham
kyā jaane kyā dikhā.e kam-baḳht rāz-e-dushman
be-iḳhtiyār ho tum aur be-qarār haiñ ham
vaañ shoḳhiyoñ ne maare nākām kaise kaise
yaañ sādgī se kyā kyā umīd-vār haiñ ham
ne raḳht mai-kade meñ ne ka.abe kā irāda
haiñ dil lagī ke bande yāroñ ke yaar haiñ ham
vaañ sarguzisht-e-dushman vo kah rahe haiñ muñh par
yaañ be-ḳhudī hai is par kyā rāz-dār haiñ ham
saaqī tirī nigāheñ kab tak raheñgī palTī
hai nashsha zāhidoñ ko aur bāda-ḳhvār haiñ ham
ka.aba hai sañg-e-bālīñ zohād-e-ḳhufta dil kā
aur mai-kade ke andar shab-zinda-dār haiñ ham
allāh re zarf-e-dil kā sab kī jagah hai is meñ
be-ġham rahe hai dushman kyā ġham-gusār haiñ ham
ai hashr bach ke chalnā ai charḳh haT ke girnā
hai barq saaya jis kā vo ḳhār-zār haiñ ham
itnī ḳhalish mizha kī ab baḌh ga.ī ki goyā
zaḳhm-e-dil-e-adū meñ ḳhanjar-guzār haiñ ham
kab tak rahegā dushman jaame se apne bāhar
ho aag aag jis se tum vo sharār haiñ ham
dushman kī jeb meñ tum sabr-o-shakeb meñ ham
tum dast-e-kotahī ho pā-e-nigār haiñ ham
vādī-e-justujū se guzrīñ to kyā ajab hai
vārafta kaise kaise lail-o-nahār haiñ ham
kyā bāda-e-javānī mard-āzamāñ nasha thā
ab ai 'qalaq' vabāl-e-ḳhvāb-o-ḳhumār haiñ ham
Top Urdushayar.com