Qalaq Merathi

aap ke mahram asrar the aghyar ki hum

Qalaq Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1832-1880
aap ke mahram asrār the aġhyār ki ham
dil-e-ġhamnāk ke tum rahte the ġham-ḳhvār ki ham
shikva-ālūd nasīhat nahīñ achchhī nāseh
aap haiñ kushta-e-bedād-e-sitamgār ki ham
hashr agar kahve madad-gār hamārā hai kaun
bol uThe saaf tirā fitna-e-raftār ki ham
aap kī shaan kā sāmān kahāñ se aayā
yūsuf-e-husn ke the aap ḳharīdār ki ham
ham burā ġhair se milne ko samajhte the ki tum
apne matlab ke haiñ aġhyār talabgār ki ham
haa.e be-rahmī-e-dil-dār se be-qadrī jaan
ziist se aap hamārī hue bezār ki ham
jānte ham haiñ burā rabt jatāne ko ki ġhair
hoñge mash.hūr havasnāk tire yaar ki ham
qatl kyā ho koī ḳhanjar meñ nahīñ tarz-e-nigāh
daad ai ishq hai jallād gunahgār ki ham
na mohabbat kī ḳhabar us ko na ham ko us kī
sādgī kah to sahī yaar hai ayyār ki ham
roz-o-shab mere phirāne ko phire jaatā hai
charḳh hai gardish-e-bekār se nā-chār ki ham
ho ke pāmāl Thikāne se lagī ḳhaak apnī
tū hai āshufta sar-e-kūcha-o-bāzār ki ham
un ko tum chāhte ho aap ko ham chāhte haiñ
lā.eq-e-rahm haiñ farmā.iye aġhyār ki ham
ai 'qalaq' paañv zamīñ par nahīñ rakhtā maġhrūr
charḳh hai ḳhāk-e-dar-e-haidar-e-karrār ki ham
Top Urdushayar.com