Qalaq Merathi

KHushi mein bhi nawa-sanj-e-fughan hun

Qalaq Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1832-1880
ḳhushī meñ bhī navā-sañj-e-fuġhāñ huuñ
zamīn-o-āsmāñ kā tarz-dāñ huuñ
maiñ apnī be-nishānī kā nishāñ huuñ
hujūm-e-mātam-e-umr-e-ravāñ huuñ
tire jaate hī merī ziist tohmat
nahīñ miltā patā apnā kahāñ huuñ
ġhubār-e-kārvān-e-mor hai ziist
ye ḳhatt-e-yār se āshufta-jāñ huuñ
nahīñ kuchh kaam baḳht-o-āsmāñ se
maiñ nākāmī meñ apnī kāmrāñ huuñ
nahīñ dam mārne kā dam aur us par
sarāpā sham.a saañ shakl-e-zabāñ huuñ
ḳhudā hī gar na de ma.ashūq-o-mai ko
to kyuuñ phir mohtasib se sargirāñ huuñ
vahāñ kā rañg-e-parrāñ āsmāñ hai
maiñ jis aalam kī tasvīr-e-gumāñ huuñ
koī āvāra mil jaa.e to pūchhūñ
kidhar se aayā huuñ jaatā kahāñ huuñ
nikal jaatā hai jī har aarzū par
pa.e-ḳhūn-e-javānī meñ javāñ huuñ
mirā ġham ishrat-e-rafta kā naġhma
ki misl-e-gard bū-e-kārvāñ huuñ
kavākib-hā-e-qismat āsmāñ par
na huuñ... kyuuñ nukta-chīñ maiñ nukta-dāñ huuñ
'qalaq' be-raunaqī raunaq hai merī
bahār-e-umr-e-hastī kī ḳhizāñ huuñ
Top Urdushayar.com