kyā aa ke jahāñ meñ kar ga.e ham
ik daaġh jigar pe dhar ga.e ham
mehmān-e-jahāñ the ek shab ke
shaam aa.e the aur sahar ga.e ham
juuñ sham.a tamām umr ro.e
har bazm se chashm-e-tar ga.e ham
apnī hī nazar nahīñ vagarna
tū hī thā udhar jidhar ga.e ham
naale meñ asar to kyuuñ na hotā
par terā lihāz kar ga.e ham
ham jānte haiñ ki tū hai ham meñ
go DhūñDne dar-ba-dar ga.e ham
jhagḌā thā jo dil pe us ko chhoḌā
kuchh soch ke sulh kar ga.e ham
is dasht ke ḳhār-o-ḳhas se bach kar
joñ bād-e-subuk guzar ga.e ham
thiiñ lutf se dil meñ jur.ateñ kuchh
par tere ġhazab se Dar ga.e ham
hasrat hī se ham bane the goyā
aañkh uThte hī uThte mar ga.e ham
derīna rafīq thā 'qalaq' haa.e
vo kyā hī muā ki mar ga.e ham