Qalaq Merathi

rishta-e-rasm-e-mohabbat mat toD

Qalaq Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1832-1880
rishta-e-rasm-e-mohabbat mat toḌ
toḌ kar dil ko qayāmat mat toḌ
kām-e-nākāmī bhī ik kaam sahī
toḌ ummīd ko himmat mat toḌ
raat furqat kī paḌī hai ai dil
ek hī naale meñ tāqat mat toḌ
us kī rahmat ko na be-kār samajh
mai-o-maiḳhāne kī niyyat mat toḌ
dekh achchhī nahīñ ye ḳhar-mastī
sāġhar-e-bāda-e-fursat mat toḌ
ai dil ummīd-e-rihā.ī mat bāñdh
aur aafat sar-e-āfat mat toḌ
pūchh mat lazzat-e-mai ai vaa.iz
jānvar dām-e-sharī.at mat toḌ
sehan-e-masjid ko kiye jā pāmāl
qaid-e-ā.īn-e-tarīqat mat toḌ
mai-kada dekh ke jannat ko na bhuul
hirs se band-e-qanā.at mat toḌ
is kā ehsān uThānā hai hameñ
gardan ai bār-e-nadāmat mat toḌ
ai 'qalaq' but-kade meñ bāñdh ehrām
ham se lillāh rifāqat mat toḌ
Top Urdushayar.com