Qalaq Merathi

un se kaha ki sidq-e-mohabbat magar darogh

Qalaq Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1832-1880
un se kahā ki sidq-e-mohabbat magar daroġh
kahne lage ye sach hai ki har tarah par daroġh
duzd-e-hinā pe duzdī-e-jāñ kā hai ittihām
ḳhūn-e-dil-o-jigar sar-e-teġh-e-nazar daroġh
aanā sabāh-e-hashr kā shām-e-firāq jhuuT
uḌ jaanā shor-e-nāla se rañg-e-sahar daroġh
har lahza teġh jānñā abrū kā iftirāk
har lamha zauq-e-qatl meñ sar haath par daroġh
sar sañg-e-dar se phoḌnā vahshat meñ nā-subūt
gir jaanā sail-e-ashk se dīvār-o-dar daroġh
ḳhūn-e-jigar bajā.e mai-e-nāb nā-durust
ātish-zanī-e-shola-fishāñ chashm-e-tar daroġh
jaañ aur figār-e-tīr-e-mizha kis qadar ġhalat
dil aur asīr-e-rishta-e-mū sar-ba-sar daroġh
be-jāñ ho aur jiite ho furqat meñ iḳhtirā.a
be-dil ho aur niyāz-e-nigah hai jigar daroġh
TukḌe nigāh-e-nāz se dil aap kā durust
vahm-e-nazar se duur hamārī kamar daroġh
uḌtā hai rañg saath hī āvāz-e-nāz ke
chīn-e-jabīñ se aap ko itnā ḳhatar daroġh
hai nā-sipās-e-vasl dil-e-hijr-e-dost ḳhabt
hai pāk-bāz chashm-e-haqīqat-nigar daroġh
kūche meñ mere le ke sabā aa.egī bajā
tum ḳhaak ho ga.e ho sar-e-rahguzar daroġh
ham ko talāsh aap kī aur dar-ba-dar muhāl
jazb-e-dil-o-jigar se umīd-e-asar daroġh
ham aur na.ash uThāne ko aate ḳhilāf-e-aql
marg-e-shab-e-firāq kī har sū ḳhabar daroġh
ye zabt-e-vaz.a naam 'qalaq' qissa muḳhtasar
shā.ir ho har tarah hai tumhārā hunar daroġh
Top Urdushayar.com