Qalaq Merathi

tere dar par maqam rakhte hain

Qalaq Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1832-1880
tere dar par maqām rakhte haiñ
qasd-e-dār-us-salām rakhte haiñ
ibtidā apnī intihā se pare
nā-tamāmī tamām rakhte haiñ
āsmāñ se kise umīd-e-najāt
āshiyāñ zer-e-dām rakhte haiñ
ek yūsuf ki saath ġhurbat meñ
aise lākhoñ ġhulām rakhte haiñ
be-bahā shai huuñ maiñ ki vo mujh ko
nā-ḳharīda ġhulām rakhte haiñ
sab kī sunte haiñ karte haiñ jī kī
kaam se apne kaam rakhte haiñ
vasl-e-ma.ashūq hai sulaimānī
vo hī jam haiñ jo jaam rakhte haiñ
kuchh tirī dostī kī qadr nahīñ
dushmanī ḳhās-o-ām rakhte haiñ
qais o farhād kahte haiñ vo mujhe
kaise gin gin ke naam rakhte haiñ
nāloñ ko rok rok lete haiñ
dil ko ham thaam thaam rakhte haiñ
ka.abe meñ ek dam kī mehmānī
mai-kade meñ mudām rakhte haiñ
dil-rubā kahne se vo chauñk uThe
goyā ham ittihām rakhte haiñ
chashm-e-bad-dūr aish-e-ahd-e-shabāb
sub.h ham-rañg-e-shām rakhte haiñ
ai 'qalaq' baiThiye sar-e-ḳhum-e-mai
aap aalī maqām rakhte haiñ
Top Urdushayar.com