Qalaq Merathi

be-gana-adai hai sitam jaur-o-sitam mein

Qalaq Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1832-1880
be-gāna-adā.ī hai sitam jaur-o-sitam meñ
ham chhupne na paa.e ki chhupā aap vo ham meñ
kuchh ilm-o-ḳhirad par nahīñ taqdīr kī miqdār
andaza-e-paimāñ na zyāda meñ na kam meñ
hai tarz-e-mohabbat hī dil-āshob vagarna
kuchh baat adāvat kī na tum meñ hai na ham meñ
har qāfila-e-dard-rasīda kī hai manzil
kyā jāniye ārām hai kyā mulk-e-adam meñ
yārab ho burā is havas-e-dil kā nahīñ chain
iflās bhī khoyā talab-e-jāh-o-hasham meñ
be-his havas-e-vasl meñ aise to hue haiñ
lazzat hai aziyyat meñ halāvat hai na sam meñ
afsāna-e-mai-ḳhāna hai vaa.iz kī zabāñ par
andāza-e-paimāna hai qindīl-e-haram meñ
mujh ko hī nahīñ be-ḳhud-o-behosh kyā kuchh
dīvāne bane aap bhī tashvīsh-e-sitam meñ
us zohd-libāsī ke 'qalaq' tere haiñ qaa.il
kis Dhañg se laayā pisar-e-shaiḳh ko dam meñ
Top Urdushayar.com