tujhe kal hī se nahīñ be-kalī na kuchh aaj hī se rahā qalaq
tirī umr saarī yūñhī kaTī tū hamesha yūñhī jiyā 'qalaq'
huā dil ke jaane kā ab yaqīñ ki vo dard-e-bar meñ mare nahīñ
na vo iztirāb-e-qazā kahīñ na vo hashr-ḳhez balā 'qalaq'
mujhe hashr kar diyā baiThnā mujhe qahr ho gayā Thaharnā
hai basān-e-sabr gurez-pā nahīñ ġham-gusār mirā qalaq
unheñ naala karne kā rañj kyā unheñ aah bharne kā rañj kyā
unheñ mere marne kā rañj kyā unheñ mere jaane kā kyā qalaq
yahī rashk ne diye mashvare kabhī parda un kā na kholiye
mire jī hī jī meñ phirā kiye mire dil hī dil meñ rahā qalaq
na to ro.e ġhair na ghar rahe na shab-e-firāq meñ mar rahe
na vafā kare na sitam sahe na jafā huī na huā qalaq
na vo maiñ rahā na vo tū rahā na vo aarzū na vo mudda.ā
huā zindagī kā bhī faisla magar ek terā rahā qalaq
rahe laakh sadme nafas nafas jiye kyuuñ ki koī parā.e bas
shab-e-vasl marne kī thī havas shab-e-hijr jiine kā thā qalaq
nahīñ chain un ko bhī ek dam ki hai fikr-e-jaur kā ġham sā ġham
hue mujh pe roz na.e sitam rahā un ko roz nayā qalaq
kare rabt koī kisī se kyā ki uThā tarīq nibāh kā
na karegī tujh se vafā jafā na karegā mujh se vafā qalaq
maiñ jalā to sho.ale meñ josh thā jo huā maiñ ḳhaak hai zalzala
maiñ hazār shakl badal chukā pa kisī tarah na chhupā qalaq
nahīñ tere phirne kā kuchh gila ki zamāna saarā badal gayā
jo shab-e-visāl meñ chain thā vahī roz-e-hijr banā qalaq
vo hai iltifāt dam-e-sitam ki ziyāda is se nahīñ karam
mire chāk-e-dil kā rafū alam mire dard-e-jāñ kī davā qalaq
ga.e vaañ bhī par na ghaTā alam chhuTe sab se par na chhuTā alam
mire paas se na haTā alam mire saath se na Talā qalaq
abhī thā salā-e-zan-e-sabaq abhī thī kitāb-e-varaq-varaq
kabhī madrase meñ rahā 'qalaq' kabhī mai-kade meñ rahā 'qalaq'