Qalaq Merathi

kahiye kya aur faisle ki baat

Qalaq Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1832-1880
kahiye kyā aur faisle kī baat
vasl hai ik muāmle kī baat
us ke kūche meñ laakh sar-gardāñ
ek yūsuf ke qāfile kī baat
gesū-e-hūr aur zāhid bas
zikr-e-kākul hai silsile kī baat
ġhair se ham ko rashk-e-sall-e-alā
kahiye kuchh apne hausle kī baat
ek aalam ko kar diyā pāmāl
ye bhī hai koī mashġhale kī baat
kyā bigaḌnā unheñ nahīñ aatā
sulh bhī hai mujādale kī baat
dekh kyā kahte haiñ ḳhudā se ham
ik zarā hai muqāble kī baat
is qadar aur qarīb-e-ḳhātir tū
aql se hai ye fāsle kī baat
dāvar-e-hashr se bhī haal kahā
nahīñ ruktī kahīñ gile kī baat
na chale paañv aur na sar hī chale
be-sar-o-pā hai aable kī baat
koī mazmūñ kabhī na pesh aayā
sher meñ kī hai phir sile kī baat
ham-nashīñ arsh hil gayā shab-e-hijr
pūchh mat jī ke zalzale kī baat
ai qalaq dil ko soch kar denā
kuchh nahīñ Thiik valvale kī baat
Top Urdushayar.com