jo dilbar kī mohabbat dil se badle
to luuñ ummīd-e-lā-hāsil se badle
muhāl-e-aql koī shai nahīñ hai
jo āsānī mirī mushkil se badle
jahāñ hai kor aur ḳhurshīd mahjūb
kahāñ tak sham.a har mahfil se badle
tahī-dast-e-mohabbat to bhī samjho
jo jam-sāġhar ko jām-e-gil se badle
har ik ko jaan dene kī ḳhushī ho
ajal gar nāvak-e-qātil se badle
agar ho chīñ-jabīñ qātil dam-e-qatl
qayāmat qāmat-e-qātil se badle
abhī ham to adū se bhī badal leñ
jo ġham ko ġham se dil ko dil se badle
khule ahvāl-e-dil jab nāsehoñ par
tah-e-dariyā agar sāhil se badle
shabistāñ chhoḌ kar lailā ho majnūñ
mirī āġhosh gar mahmil se badle
na jumbish ik qadam ho āsmāñ se
mirī manzil agar manzil se badle
butoñ kā jalva ka.abe meñ dikhā deñ
zarā taqvā dil-e-mā.il se badle
'qalaq' us zulm kā phir kyā Thikānā
agar maqtūl le qātil se badle