Qalaq Merathi

tere wade ka iKHtitam nahin

Qalaq Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1832-1880
tere va.ade kā iḳhtitām nahīñ
ki qayāmat pe bhī qayām nahīñ
bevafā.ī tumhārī aam huī
ab kisī ko kisī se kaam nahīñ
kis liye da.ava-e-zuleḳhā.ī
ġhair yūsuf nahīñ ġhulām nahīñ
vasl ke ba.ad hijr kā kyā kaam
duur gardūñ kā intizām nahīñ
kaun suntā hai nāla-o-fariyād
charḳh ko ḳhauf-e-intiqām nahīñ
ḳhāl-e-lab dekh kar huā ma.alūm
koī daana baġhair-e-dām nahīñ
aap meñ kyuuñ ki aa.uuñ jab ki tū aa.e
ḳhalvat-e-ḳhās bazm-e-ām nahīñ
naala kartā huuñ log sunte haiñ
aap se merā kuchh kalām nahīñ
jis jagah hai vahāñ bhī hai bohtān
ki kisī jā tirā maqām nahīñ
roz-e-furqat ko roz-e-hashr na jaan
shaam par bhī to iḳhtitām nahīñ
hai ḳhudā hī 'qalaq' jo aaj bujhe
sub.h hote nahīñ ki shaam nahīñ
Top Urdushayar.com