Qalaq Merathi

pi bhi ai maya-e-ashabab sharab

Qalaq Merathi

Meerut, Uttar pradesh, India

1832-1880
pī bhī ai māya-e-ashabāb sharāb
garm-joshī se hai kabāb sharāb
maryamī uḌ ga.ī masīhā kī
lab-e-nāzuk pe hai sharāb sharāb
us se ham jā bhiḌe adū ke ghar
hai paḌī ḳhānumāñ-ḳharāb sharāb
kyuuñ ki mutlaq harām hī kahiye
pīji.egā milā ke aab sharāb
bahr-e-har-zarf-e-imtihāñ sāġhar
har tamannā kā intiḳhāb sharāb
ba.ad-azīñ mohtasib qasam le le
tauba kartā huuñ lā shitāb sharāb
zaa.e.a auqāt ko nahīñ karte
piite haiñ vaqt-e-māhtāb sharāb
saḳht mātam hai ai shabāb tirā
ki rulātī hai ḳhūn-e-nāb sharāb
mohtasib us kā ḳhuun hai kis par
jo hai piitā bajā.e aab sharāb
mus.haf-o-ḳhirqa bechte haiñ ham
ho ga.ī jaan ko azaab sharāb
us kī baḳhshish hai be-hisāb agar
ham bhī piite haiñ be-hisāb sharāb
har ghaḌī zikr-e-mai hai ai vaa.iz
ho ga.ī terī to kitāb sharāb
ai 'qalaq' mai-kade meñ sajde kyuuñ
kaun degā pa-e-savāb sharāb
Top Urdushayar.com