Hamid Allahabadi

jazbaat tez-rau hain ki chashme ubal paDe

Hamid Allahabadi

jazbāt tez-rau haiñ ki chashme ubal paḌe
jab dard tham sakā na to aañsū nikal paḌe
dīvāne se na kījiye dīvāngī kī baat
kyā jaane kyā zabān se us kī nikal paḌe
ai dil mazā to jab hai ki har zaḳhm khā ke bhī
peshānī-e-hayāt pe hargiz na bal paḌe
thiiñ rahguzār-e-zīst meñ dushvāriyāñ magar
ham rah-ravān-e-shauq the gir kar sambhal paḌe
'hāmid' ham apnī manzil-e-gum-nām kyā kahīñ
uTThe jidhar bhī paañv usī samt chal paḌe
Top Urdushayar.com