Meraj Faizabadi

bhiD mein koi shanasa bhi nahin chhoDti hai

Meraj Faizabadi

Faizabad, Uttar pradesh, India

1941-2013
bhiiḌ meñ koī shanāsā bhī nahīñ chhoḌtī hai
zindagī mujh ko akelā bhī nahīñ chhoḌtī hai
āfiyat kā koī gosha bhī nahīñ chhoḌtī hai
aur duniyā mirā rasta bhī nahīñ chhoḌtī hai
mujh ko rusvā bhī bahut kartī hai shohrat kī havas
aur shohrat mirā pīchhā bhī nahīñ chhoḌtī hai
ham ko do ghoñT kī ḳhairāt hī de do varna
pyaas pāgal ho to dariyā bhī nahīñ chhoḌtī hai
aabrū ke liye rotī hai bahut pichhle pahar
ek aurat ki jo pesha bhī nahīñ chhoḌtī hai
Dūbne vaale ke hāthoñ meñ ye pāgal duniyā
ek TuuTā huā tinkā bhī nahīñ chhoḌtī hai
ab ke jab gaañv se lauTe to ye ehsās huā
dushmanī ḳhuun kā rishta bhī nahīñ chhoḌtī hai
kyā mukammal hai judā.ī ki bichhaḌ jaane ke ba.ad
tujh se milne kā bahānā bhī nahīñ chhoḌtī hai
jānte sab the ki nafrat kī ye kaalī āñdhī
dasht to dasht haiñ dariyā bhī nahīñ chhoḌtī hai
Top Urdushayar.com