bikhre bikhre sahme sahme roz o shab dekhegā kaun
log tere jurm dekheñge sabab dekhegā kaun
haath meñ sone kā kaasa le ke aa.e haiñ faqīr
is numā.ish meñ tirā dast-e-talab dekhegā kaun
lā uThā tesha chaTānoñ se koī chashma nikāl
sab yahāñ pyāse haiñ tere ḳhushk lab dekhegā kaun
dostoñ kī be-ġharaz hamdardiyāñ thak jā.eñgī
jism par itnī ḳharāsheñ haiñ ki sab dekhegā kaun
shā.erī meñ 'mīr' o 'ġhālib' ke zamāne ab kahāñ
shohrateñ jab itnī sastī hoñ adab dekhegā kaun