har-chand duur duur vo husn-o-jamāl hai
ai vus.at-e-nigāh tirā kyā ḳhayāl hai
duniyā-e-āb-o-gil meñ masarrat kī aarzū
aisī hai jaise aap kā paanā muhāl hai
lo sub.h-e-inqalāb kā bhī aasrā gayā
ab kārobār-e-zīst tirā kyā ḳhayāl hai
vīrānī-e-hayāt ko phir tuul dījiye
ye merī zindagī kā muqaddam savāl hai
duniyā ne us ko jaan ke jaanā nahīñ abhī
'hāmid' jo ek shā.ir-e-sad-ḳhasta-hāl hai