ek TuuTī huī zanjīr kī fariyād haiñ ham
aur duniyā ye samajhtī hai ki āzād haiñ ham
kyuuñ hameñ log samajhte haiñ yahāñ pardesī
ek muddat se isī shahr meñ ābād haiñ ham
kaahe kā tark-e-vatan kaahe kī hijrat baabā
isī dhartī kī isī desh kī aulād haiñ ham
ham bhī ta.amīr-e-vatan meñ haiñ barābar ke sharīk
dar-o-dīvār agar tum ho to buniyād haiñ ham
ham ko is daur-e-taraqqī ne diyā kyā 'me.arāj'
kal bhī barbād the aur aaj bhī barbād haiñ ham