muTThiyoñ meñ ret bhar lī hai batā.ūñ kis tarah
raat din āb-e-ravāñ se muñh chhupā.ūñ kis tarah
raqs karte haiñ bagūle mere tere darmiyāñ
ret par dariyāoñ kā naqsha banā.ūñ kis tarah
vo udhar us paar ke manzar bulāte haiñ mujhe
raushnī ke shahr se pīchhā chhuḌā.ūñ kis tarah
yaad sab kuchh hai magar kuchh bhī nazar aatā nahīñ
putliyoñ meñ tere chehre ko chhupā.ūñ kis tarah
jab yahāñ is shahr meñ sab kuchh ḳhizāñ-āsār hai
be-dar-o-dīvār kā ik ghar banā.ūñ kis tarah