Sartaj Alam Abidi

tere liye ijad hua tha lafz jo hai ranai ka

Sartaj Alam Abidi

Naugawan Sadat, Uttar pradesh, India

1936
tere liye ījād huā thā lafz jo hai ra.anā.ī kā
sar se le kar nāḳhun-e-pā tak aalam hai zebā.ī kā
dil kī vīrānī ne itnā zauq-e-samā.at badlā hai
ġham kī lai meñ Dhal jaatā hai naġhma ḳhud shahnā.ī kā
chāroñ taraf sailāb-e-ādam phir bhī akelā huuñ jaise
dhīre dhīre khā jā.egā zahr mujhe tanhā.ī kā
husn ke kāshāna meñ aa kar sar ko jhukānā paḌtā hai
ishq kā banda ho kar tujh ko zauq hai kyuuñ dārā.ī kā
mehnat sab se baḌī ibādat mehnat-kash me.amār-e-qaum
ahd-e-nau āġhāz huā hai ḳhatm hai daur shāhī kā
rañj-o-ḳhushī 'sartāj' baham haiñ ye duniyā kī mahfil hai
ġham kī tāneñ kahīñ pe jāgeñ shor kahīñ shahnā.ī kā
Top Urdushayar.com