Sartaj Alam Abidi

KHushi mein dil ke dagh ko jala jala ke pi gaya

Sartaj Alam Abidi

Naugawan Sadat, Uttar pradesh, India

1936
ḳhushī meñ dil ke daaġh ko jalā jalā ke pī gayā
havas kī tez aañch ko bujhā bujhā ke pī gayā
nazar ke sāgaroñ meñ jo bharī thī tū ne arġhavāñ
tirī hasīn aañkh se churā churā ke pī gayā
nasīhatoñ ke darmiyāñ jo tak rahī thī jaam ko
usī nigāh-e-bad se maiñ bachā bachā ke pī gayā
milī jo tere haath se to ho gayā nasha do-chand
raqīb-e-rū-siyāh ko dikhā dikhā ke pī gayā
qalīl bhī milī kabhī to kī isī pe iktifā
baḌhī huī talab ko maiñ dabā dabā ke pī gayā
jhukī jhukī nigāh meñ hazār kaif-o-mastiyāñ
usī nigāh-e-nāz ko uThā uThā ke pī gayā
falak pe kaalī badliyāñ qarīb-e-rūh-e-dilkashī
piyāle se piyāle ko milā milā ke pī gayā
Top Urdushayar.com