Sartaj Alam Abidi

dil ko nashat-e-gham se hun shadan kiye hue

Sartaj Alam Abidi

Naugawan Sadat, Uttar pradesh, India

1936
dil ko nashāt-e-ġham se huuñ shādāñ kiye hue
mujh par firāq-e-yād hai ehsāñ kiye hue
aaheñ batā rahī haiñ ki derīna choT hai
chehra hai dil ke rañj ko uryāñ kiye hue
jaise ḳhizāñ-rasīda koī barg-e-dasht meñ
phirte haiñ dil meñ dard ko pinhāñ kiye hue
shāhid haiñ soz-e-qalb ke qatrāt ashk-e-ġham
palkoñ pe haiñ charāġh-e-farozāñ kiye hue
aa.ī hai phir bahār junūñ ko milī hai shah
muddat huī thī chaak garebāñ kiye hue
yādoñ ke gul khile haiñ tasavvur meñ aaj phir
ham aa hai haiñ sair-e-gulistāñ kiye hue
Top Urdushayar.com