lagā majnūñ ko zahr-e-ishq kyā āb-e-baqā ho kar
vo zinda ho gayā goyā mohabbat meñ fanā ho kar
bane the mehmāñ āġhāz-e-ulfat meñ mire dil meñ
makīn-e-mustaqil ab ban ga.e shīrīñ-adā ho kar
miTāte jo rahe mujh ko mujassam zulm ban ban kar
unhīñ ke dil pe maiñ ubhrā kiyā naqsh-e-vafā ho kar
unhīñ ko jalva-rezī ban ga.ī thī chāñdnī ġham kī
ufuq pe dil kī vo chamkā kiye māh-e-azā ho kar
kuchh aisī thī kashish mujh meñ ḳhirāj-e-husn bhī paayā
huā mash.hūr maiñ ishq-o-mohabbat kā ḳhudā ho kar
Thikāna yād-e-māzī kā agar hai to mirā dil hai
kahāñ par jā.eñgī 'sartāj' vo dil se judā ho kar